Dua Kabool Hone ka Waqt ...?
✊🏻 *Waise To AlLah Ta'Ala Hr Waqt DuaOon ko Qabool Karta Hai Lekin kuch Aukaat (Waqt) Bade AHem (Important) Hote Hai JaisSe ki...*
1⃣ - Raat ka Aakhri HisSa (JisSe TahajJud ka Waqt kaha Jata Hai ). [Bukhari]
2⃣ - Azaan aur Iqamat (Jab Muazin Namaz Shuru Karne se Pehle Takbir Padhta Hai ) K Beech ka Waqt. [Tirmidhi]
3⃣ - Sajde K Waqt. [Muslim]
4⃣ - JumMah K Din asr K Baad ka Aakhri HisSa. [Bukhari]
5⃣ - Aakhri Tasahhud main Durood K Baad. [Bukhari]
6⃣ - Farz Namazo K Baad.
7⃣ - Baarish Utarte Waqt. [Haakim]
8⃣ - Roza Iftaar Karte Waqt. [Ibne Majah]
9⃣ - Yaume Arafah (Dhul Hijja ka Nauwa (9) Din). [Tirmidhi]
🔟 - Zam Zam Pine se Pehle. [Ibne Majah]