Darood Sharif Parhne ke Fazail aur Barkaat [26 Hadees]

لبیک یارسول اللہﷺ
By -
0

 

 Darood Sharif Parhne ke Fazail [1-5 Hadees] :

Hadees 01 :
Asim bin Ubaidullah ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) bayan famate hai hai
Unhone Abdullah ibn Amir ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) se suna k 
unhone unke walid se suna k 
Rasool AlLah ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Ne Farmaya :
" Jo Mujh Par Darood Bhejta Hai
To Jab Tak Wo Mujhe Pe Durood Bhejte Rehta Hai
Farishte Uske Liye Duaye Rehmat Karte Hai
Ab Bande Ki Marzi Hai Kam Padhe ya Zyada"
[ Sunan ibn Majah, Vol : 01, Pg : 490 - Kitab No 05 - Kitab Ikamat Al Salat Wa Sunnat, Hadees : 907 ]

Hadees 02 :
Hazrat Abu Hurraira ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )  se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood Bheja AlLah Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai "
[ Sahi Muslim Vol : 01, Kitab No 04 - Kitabus Salat,Baab No 17, Pg : 216, Hadees : 408 ]

Hadees 03 :
Hazrat Abu Hurraira ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )  se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood e Paak Padha AlLah Uspar 10 Rehmatein Bhejta Hai Uske Namaye Aamal Me 10 Nekiya Likhta Hai "
[ Jamai Tirmizi Vol 02, Pg:28,Kitab No 03 - Kitabul Witr, Hadees : 485 ]

Hadees 04 :
Hazrat Abdullah ibn Masood ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )  se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Baroze Kayamat Logo Me Se Mere Karib Tar Wo Hoga Jo Mujhpe Sabse Zyada Durood Padhe Honge " 
[ Jamai Tirmizi Vol 02, Pg:28,Kitab No 03 - Kitabul Witr, Hadees : 484 ]
[ Sahi Ibn Hibban Vol : 03. Pg : 192, Hadees : 911 ]
[ Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02. Pg : 212, Hadees : 1563 ]
[ Imam Daylami Al Musnadul Firduas Vol : 01, Pg : 81, Hadees : 250 ]
[ Imam Bukhari ne Tareekh Ul Kabeer, Vol : 05, Pg : 177, Hadees : 559 ]
[ Khateeb Tabrezi ne Mishkatul Masabeeh Vol : 01, Pg : 278, Kitab us Salat, Baab No : 16, Hadees : 293 ]

Hadees 05 :
Hazrat Anas Bin Malik ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se rivayat hai K
Nabi E Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Jis Ne Mujhe Par Ek Baar Durood e Paak Padha AlLah Uspar 10 Rehmatein Nazil Farmata, 10 Gunaah Mitata Hai aur 10 Darjaat Buland Farmata Hai "
[ Sunan Nasai Vol 03,Pg :222, Kitab No 13 - Kitabus Sauh,  Baab No 55 Huzoor Nabi E Karim صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  Par Salat O Salam Bhejne K Fazail, Hadis :1297 ]
[ Imam Bukhari ne Al Adabul Mufrad Vol : 01, Pg : 225, Hadees : 643 ]
[ Imam Bayhaqi Shoebul Imaan Vol : 02, Pg : 210, Hadees : 1554 ]

Durood Sharif Kitab Me Likhne Ki Barakat :

Hadees 06 :
Farmane MusTafa ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  )
" Jisne Kitab par Mujhpe Durood E Paak Likha To Jab Tak Mera Naam Uspar Hoga Farishte Uske Liye Istagfaar Karte Rahenge " 
[ Imam Tabrani ne Al Muajamul Ausaat Vol : 01, Pg : 497, Hadees : 1830 ]
Note :- Is baare me ek chiz ka khayal rakhe k Kitab ko kisi acchi jagah rakhe aur hifazat se rakhe taaki be adbi  na ho.


Majlis Me Durood E Paak Padhne Ki Barkat :

Hadees 10 :
IrShad e Nabvi ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  )
" Mujh Par Durood Sharif Padh Kar Apni Majalis Aaraasta Karo K Tumhara Durood E Paak Padhna Baroze Kayamat Tumhare Liye Noor Hoga "
[ Firdosul Akhbar Vol : 01, Pg : 422, Hadees : 3149 ]

Hadees 11 :
Ummool Momineen Ayesha Siddika Tahira ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنها ) Farmati Hai 
" Apni Majlis Ko Nabi E Karim Par Durood E Paak Padhke Aarasta Karo "  
[ Khatib Bagdadi ne Tarikh E Baghdad Vol : 07, Pg :216 ]

isliye hum ahle sunnat ka ye riwaz hai k hum durood e mubaraka ki majalis sazate hai aur AlLah عزوجل ki hamd ko sana aur rasool e karim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) par durood e mubaraka padhte hai.
alhamdullilah ab kuch logo k yaha to durood ki mazalis munnakid karna hi haram o shirk o biddat hai khair aise badnasimo ka ilaaz bhi nahi hai.

Pyare Nabi ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Durood E Mubaraka Padhna Waale Ka Naam Bhi Jaante Hai - Subhan AlLah :

Hadees 12 :
Huzoor E Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Beshak AlLah عزوجل ne ek Farishta meri Kabr pe Mukkarar Farmaya : Hai Jisko Tamam Makhlook Ki Awaazein Sun ne ki Takat Di Hai pas Kayamat tak jo Koi Mujhpe Durood e Paak Padhta hai To Wo Mujhe Uska Aur Uske Baap Ka Naam Pesh Karta Hai Aur Kehta Hai "Fula Bin Fula Ne Aap Par Is Wakt Durood E Paak Padha Hai " 
[ Musnad E Bajjar Vol : 06, Pg : 200, Hadees : 1320 ]

Hadees 13 :
Huzoor E Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya : 
" Beshak Tumhara Naam Ba E Shanakth Mujh Par Pesh Kiye Jaate Hai
Lihaja Mujh Par Ahsaan (Khubsoorat) Alfaaz me Durood E Paak Padho "
[ Musannif Ibn Abdul Razzak, Vol : 02, Pg :140, Baab As Salato Alan Nabi ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Hadees : 3116 ]

Shab E Juma Durood Padhne Ki Fazilat

Hadees 14 :
Farmane MusTafa ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  )
" Shabe Juma Aur Roz E Juma Mujh Par Kasrat Se Durood Padho Kyuki Tumhara Durood E Paak Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai "
[ Imam  Tabrani Al Majmaul Ausat Vol : 01, Pg 86, Hadees : 231 ]

Hadees 15 :
Hazart Aws Bin Aws ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se Riwayat Hai Ki
Huzoor E Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai.
isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue
Aur isi Din Unhone Wafaat Paaee
Aur isi Din Soor Foonka Jaaega
Aur isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai "
[ Sunan Abu Dawood Vol : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Pg : 443, Hadees : 1047 ]
[ Al Musannif Ibn e Abi Shaibah Vol 06, Book : As Salah Chapter : 795 Pg : 40,Hadis: 8789 ]
[ Imam Bayhaqi,  Sunan Al Kubra,  Book : Al Juma'ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993 ]
[ Imam Darimi, Sunan Darmi,  Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu'ah Jild : 1 pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572 ]
[ Imam Majah, Sunan Ibn Majah,  Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu'ah Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085 ]
[ Sunan Nasai,  Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374 ]
[ Imam Tabrani, Ma'jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadis: 589 ]
[ Musnad e Imam Ahmad Bin Hambal, Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162 ]

Hadees 16 :
Hazrat Abu Darda ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Riwayat Karte Hain Ki
Huzoor E Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo,
Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.
Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain,
Jab Koii Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai. "
Hazrat Aboo Darda ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya
" Ya RasoolAllah ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ).! "
aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)...?
Aap ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Ne Farmaya :
" Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki)
AlLah Ta’ala Ne Zameen Ke Lie Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.
Phir AlLah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai. "
[ Sunan Ibn Maajah, Vol -01 , Pg-524, Kitab No 06 - Kitab Al Janaiz,Hadith-1637 ]
[ Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Vol -10, Pg-23, Hadith-2090 ]

Hadees 17 :
Hazrat Abu Hurairah  ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se Marwi Hai Ki
Huzoor E Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salam Bhejta Hai To Beshak AlLah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai.
(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon. "
[ Sunan Abu Dawood, Jild-02, Pg-218, Kitab No 11 - Kitab Al Manasik Wa Al Hajj, Baab - Ziyarate Kaboor,Hadith-2041 ] 
[ Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Pg-527, Hadith-10767 ]
[ Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Pg-262, Hadith-3092, 9329 ]
[ Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Pg-245, Hadith-10050, &
Shuab-ul-Iman, Jild-02, Pg-217, Hadith-5181, 4161 ]
[ Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Pg-453, Hadith-526 ]
[ Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib,  Jild-02, Pg-326, Hadith-2573 ] 
[ Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-10, Pg-162 ]

aksar ahle sunnah wa jamaat sunni hazrat shab e juma ko mehfil e durood munakkid karte hai ye is wajah se hai k aam dino k mukable juma k din hadees e paak me durood e paak ki fazilat sabse zyada hai ab koi shask aise nek majlis munakkid karna haram o biddat kahe to aiso ka koi ilaaz nahi bugz e nabi ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) se sina bhara hai inka AlLah عزوجل nek hidayat de aiso ko.

Farishto Ka Aaka Kareem Rauf O Rahim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم ) Par Durood E Mubaraka Padhna :

Farishta ka Aaka ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Par Durood E Paak bhejna to khud Quran e Mukaddas ki ayat Surah Ahzab Ayat 56 se saabit hai yaha hum Farishto ka zikr kar rahe hai Jo Darbar E Risalaat ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) me Aake Durood o Salam pesh karte hai. 

Hadees 18 :
Hazrat Nabeeh Bin Wahab ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) se marvi hai ki
Hazrat Kaaab Abhaar ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Ummul Momineen
Hazrat Ayesha Siddika ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنها ) ki khidmat me haazir hue aur unhone
Huzur e Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ka zikr kiya.
Hazrat Kaaab Abhaar ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) ne kaha
" Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai
aur wo Huzur e Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ki kabr e Akdas ko gher lete hai
aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai)
aur Huzur ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) k Roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai 
aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Sattar Harar 70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge. "
[ Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94 ]
[ Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390 ]
[ Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03,  pg : 1018, Hadis :537 ]
[ Ibn kathir ne Tafseer ul Quran al azeem Tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518 ]
[ Jala al Afham Fi Fadhl Salati Ala Khayral Anam Pg : 60, Musannif Ibn Kayyim Jauziya ]

(Waseela E Durood) Dua Ki Makbooliyat Ba Waaste Durood E Paak Hi Hai :

Hadees 19 :
Ameerul Momineen Farooque E Aazam ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Farmate hai 
" Dua Aasman Aur Zameen k Darmiyan Muallak (Ruki) Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Par Durood Na Bheje. "
[ Sunan Tirmizi, Vol : 02, Kitab No 03 - Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja'aa Fi Salatun Alan Nabi ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Pg : 29, Hadees : 486 ]

Hadees 20 :
Maula Ali Karmallahu Wajjuhal Karim ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Farmate hai 
" Har Shaks Ki Dua Parde Me Hoti Hai Yaha Tak Ki Muhammad ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  )
aur Aale Muhammad Par Durood E Paak Padhe" 
[ Imam Tabrani - Al Majmaul Ausat Vol :01, Pg : 211 Hadees : 271 ]

Hadees 21 :
Hazrat Fadalah Bin Ubayd ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se Marwi Hai
Ek Martaba Nabi-E-Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Hamare Darmiyan Tashrif Farma They Ki
Achanak Ek Shakhs Aaya Aur Us Ne Namaz Ada Kee Aur Ye Dua Maangi :
" Aye Allah !
Mujhe Bakhs De Aur Mujh Par Raham Farma. "
To Huzoor Nabi-E-Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Ne Farmaya :
Aye Namazi !
Tune Jaldi Kee, Jab Namaz Padh Chuke To Phir Sukoon Se Baith Jaao,
Phir Allah Ta’ala Kee Shayan-E-Shan Us Kee Hamdo Sana Karo,
Aur Phir Mujh Par Durood-o-Salam Bhejo Aur Phir Duaa Maango.
Raawi Bayan Karte Hain Ki Phir Ek Aur Shakhs Ne Namaz Ada Kee,
To Us Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o-Sana Bayan Kee,
Aur Huzoor Nabi-E-Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Par Durood-o-Salam Bheja
To Huzoor Nabi-E-Akram ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Ne Farmaya :
Aye Namazi !
(Apne Rab) Se Maango Tumhein Ata Kiya Jaayega.”
[ Sunan Nasai,  Vol : 03, Pg : 44, Kitab No 13 - Kitab As Sauh, Baab No 47 Nabi Pe Durood Bhejne K Fazail Ka Bayan, Hadees : 1284 ] 
Imam Nasai ne Is Hadees ko Sahi kaha Hai.
[ Imam Nasai Al Sunan Al Kubra, Vol : 01, Pg : 380, Hadees : 1207 ]
[ Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 516, Kitab No 48 - Kitab ud Dua, Baab  No 64, Hadees : 3476 ]
[ Sahi ibn Khuzaima Vol : 01, Pg : 351, Hadees : 709 ]

kuch log aise mardood bhi milenge jo kehte hai k
namaz me durood padh liya hai ab alag se durood padhne kya hajaat
ye hadees un na ahel aur kam jarf ilm logo k liye khuli nishani hai k
tumhara sirf namaz padhlena bhi kaafi nahi hai
jab tak habeeb e rabbil aalameen ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) pe durood na padho tumhari dua rab tak nahi jaati
aaj ye jaahil na ahel log waseela e mustafa ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ko nauzuibillah shirk ka naam dete hai
phir bataye wo kam zarf log k dua me is durood ka kya matlab bana ?

Durood E Paak Na Padhne K Ya Bakhili Karne (KanJoSi) K Nuksaanat :

Aaj kuch aise log bhi hai k unhe Durood e Paak Padhne kahdo to unka Hazmaa Bigad jaata hai wo jarur dhyan de yaha.

Hadees 22 :
Hazrat Jaabir bin Abdullah ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )  se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Ne Farmaya :
" Jisne Maahe Ramzan ko Paaya aur Iske Roze Na Rakhe
wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,
Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya
aur Unke Saath Accha Sulook Na Kiya
wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,
Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha
wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai. " 
[ Majma Ul Zawaid - Vol 03, Pg : 340, Kitab-us-Saum,Hadees : 4773 ]

Hazrat Abu Hurraira ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Ne Farmaya : 
" Halaak Ho Wo Shaks Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha,
Halaak Ho Wo Shaks Jisne Maahe Ramzan ko Paaya Aur Apni Magfirat Na Karwali,
Halaak Ho Wo Shaks isne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya
Aur Unki Khidmaat kar Jannat Na Paa Li "
[ Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 551, Kitab No 48 - Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3545 ]

Hadees 23 :
" Jo Log Apni Majlis Me Allah Ka Zikr Kare Aur Nabi E Paak Par Bina Durood Padhe Uth Gaye To Wo Badbudar Murdaad Se Uthe " 
[ Imam Bayhaqi - Vol 02 Pg : 210 Hadees : 1070 ]

Hadees 24 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se rivayat hai k
Rasool Allah ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) ne irshad Farmaya :
" Jo Mujhpe Durood Padha Bhool Gaya Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya "
[ Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Pg : 294, Kitab  Iqamat-Us-Salat Was-Sunnah Fiha Hadees : 908 ]

Hadees 25 :
" Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya "
[ Imam Tabrani Al Majmual Kabeer, Vol : 03, Pg : 128, Hadees : 2887 ]

Hadees 26 :
Hazrat Ali ibn Abu Talib ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )  se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَلَّى اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّم  ) Ne Farmaya : 
" Bakhil Hai Wo Shaks Jiske Saamne Mera Zikr Hua
Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha "
[ Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 551, Kitab No 48 - Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3546 ]

Alhamdullilah Hum Ahle Sunnat Ki Har Majalis Me Durood E Paak Ki Kasrat Hoti Hai
isliye Hamare Ulema Apni Takreero Me Bhi Durood E Paak Padhate Hai
Aur Wo Jinke Yaha Puri Takreer Bas Shirk Biddat Pe Khatm Hojati Hai
Unke Dil Itne Adawat Me Gande Hogaye Hai K Unhe Durood Padhna Bhi Ab Galat Lagne Laga Hai
Is Post Me Humne Durood Se Hi Alhamdullilah Akaid E Ahle Sunnat Ko Bhi Saabit Kiya Hai. 
Allah Se Dua Hai K Hume Apni Habeeb K Muhibeen Me Shamil Karle
Aur Durood E Paak Ki Kasrat Karne Waalo Me Shamil Kare.

!!!.....Aamin.....!!!

Post a Comment

0Comments

Post a Comment (0)